03

Chapter 2 - 1st glance of hearts

Maasa apna kaksh chhod kar raja sa ke kaksh ki or aage badhati hai. Kaksh mein pahunchte hain vah dekhti hai ki raja Suryabhan Abhi Abhi Darbar se lautkar vishram kar rahe hain. Vain unke kaksh mein jaati hain aur unhen dekhte hain Raja Sahab Apni jagah per baith jaate Hain.

Suryabhan – maasa ! Aaiye kese aana hua aapka?

Maasa - Ham aapse kuchh jaruri baat karne aaye hai.

Suryabhan - kaise jaruri baat Maasa? Aapki tabiyat to theek hai?

Maasa - hamen kuchh nahin hua hai per hamara man kuchh theek nahin lag raha.

Suryabhan – kya Ham abhi vaidhya ko bulakar late Hain!

Itna kahkar vah Jaise hi uthne ke liye hote hain vaise hi Maasa unhen baitha deti hun

Maasa - hamen Kisi doctor ke pass nahin Jana Hai hamen aapke sath bahar jana hai

Suryabhan - kintu Masa aap janti Hai Na Ham abhi rajya se bahar nahin Ja sakte Ham Abhi Abhi karya Se laute Hain.

Massa- han To Ham kaun sa abhi jaane ke liye kah rahe hain aap vishram Kar lijiye hamen sham ko aapke sath Nagar sair per jana hai.

Suryabhan – kintu maasa…

Maasa - kya aap hamari itni si bhi baat nahin Manege?

Suryabhan - theek hai maasa jo aagya.. sath mein Rani Sa ko bhi lekar chalte Hain.

Maasa – nahi hum aapke sath akele Jana chahte h

Suryabhan – thik hai maasa Ham taiyar Hain. Ham sham ko hi Bahar jaenge.

Yah sunkar Maasa vahan se Chali jaati Hai aur apne man mein kahati hain- { abhi Ham aapse sidhe munh baat nahin kar sakte aapki dusri shaadi ki kintu Ham Khud pahle Bahar jakar dekhna chahte Hain jisse Ki hamen aapke sath ke liye koi ladki hi pasand aa jaaye uske bad Ham aapse baat karenge }

Sham ki 6 baj chuki hai . Raja Sa aur maasa Mahal se nikal kar car me Beth chuke hai. Nagar bharaman karne ke liye unke aage 3 car chal rahi h piche 20 ghudsawar or sath m 100 sainik bhi hai.

Dusri taraf

Stuti or vidit bhi bike lekar nikal chuke hai or stuti vidit ke sath kafi khush h vah Abhi Abhi rajmahal ke pass Se gujre Hain… Aur vahan se thoda dur jakar unhe Maharaj ka karvan najar aata Hai..

Vidit - yah is waqt itna bada karvan kahan ja raha hai?

Stuti - lagta hai Maharaj Mahal Se Bahar Aaye Hain Nagar bhraman ke liye. Yah rasta abhi theek nahin Hai yahan Ham fas jaenge Ham Ghar chalte Hain.

Vidit - are aapko Ham per Bharosa nahin Hai Ham isi raste Se jaenge sena bahut kam hai kuchh nahin hoga. (Yah kahkar bike chalakar karvan ki taraf jaane lagta)

Stuti - aap samajh nahin rahe hain raste mein bahut sare break aate Hain kahin agar bich mein Ham fas Gaye to aap break nahin dekh payenge Ham dono gir sakte hain.

Vidit - humne kaha na kuchh nahin hoga aap bus dekhti rahiye aapko bhi maja aaega aakhir Raja Sa ka karvan bhi to dekhne ko milega.

Ab Stuti kuchh nahin bolati hun per yah Sara drish Raja sa car mein baithkar dekh rahe the..( in mind) jab ham log raste Se Ja Rahe Hain To yah log gir sakte hain Fir bhi isi raste Se kyon ja rahe hain pata nahin कभी-कभी Praja ko kya ho jata hai..

Stuti – vidit apni bike ko thoda dhire chalaiye.

Vidit - hamen Ase aanand nahin aata chalane mein aur aap dariye nahin bus Anand lijiye.

Vo itna keh kar bike ki speed aur badha deta hai aur Karwar ko theek pass se gujarta hai per vahan per aane Wala Ek bada Sa break uski bike se takra jata hai jisse usse kuchh nahin hota per Stuti gir jati hai.

Ye dekhte hi Raja sa Jo use waqt usi raste per the kyunki unka karvan vahin chal raha tha sabko rukne ke liye kahate Hain aur turant car se bahar nikal kar stuti ke pass chale jaate Hain..

Raja sa – (unhe pkd kar uthate hai) aap theek to hai aapko lagi To nahin? ….

Stuti –( jiske donon hath chhil gaye the Fir bhi vah kehti hai ) Ham theek hain Maharaj aapko hamara pranam aur Aap Aaye iske liye shukriya..

Vidit – (bhag kar bike side mein Laga kar aata hun) Stuti … stuti tum thik to ho?

Stuti – haa hum thik hai.

Raja sa (vidit ko gusse ki najar se dekhte hain Aur kahate Hain) - kya aapki buddhi bhrasht ho chuki hai? Aap ek stri ka khyal nahin Rakh sakte? Jab aapko pata tha ki hamara kaarva isi raste Se Ja Raha Hai to aapane apna rasta kyon nahin badla aap jante hain na aise mein logon Ko chot lag jaati hain?

Vidit - Maharaj hamen maaf kar dijiye hamen laga ki Ham yahan se aaram Se Nikal jaenge kintu aisa hogya.

Itni der se Maasa sari chize dekh rahi thi aur yah dekhkar vah man mein sochti hai – {Aaj Tak gaytri ke alava suryabhan ne Kisi anya stree ko sparsh nahin kiya Aaj pahli bar jarurat mein Hi Sahi agar unhone Kisi Ko sparsh Kiya Hai To hamen bhi jakar dekhna chahie)

Maasa - kya ho raha hai yaha? Beta aap thik to hai?

Stuti – Rajmata pranam!

Yah bolkar unke pair chhu leti jisse Mata andar Se kafi Khush aur gaurvanvit mahsus karti hai

Stuti - Ham theek hain thodi Si chot a Gai Thi Ham Ghar jaenge to theek ho jayegi.

Maasa - kya Ham Jaan sakte hain yah aapke sath kaun hai?

Stuti – ji ye mere mangetar hai. Humse bahut pyar karte Hain hamara Vivah hone wala hai.

Maasa - aur aapke Mata pita vah kahan hai?

Stuti - vah ab is duniya mein nahin Hai…. (Yah kah kar uski aankhon Se aansu a jaate Hain)

Maasa (yah dekh kar jaldi se use hug kar leti hain) – are beta aise rote nahin Hai. Aapki Mata pita Jahan bhi Hai aapko dekhkar jarur Khush honge. Kitne varsh ki hain aap?

Stuti – ji 23 varsh .

Maasa - aapko agar Kisi bhi karya Ki avashyakta Hai ya kabhi bhi jarurat ho to aap Mahal a sakti hai. Yah rajmahal yahan ke log yah Praja sab aapse prem karti hai sab aapki Mata pita Bhai bahan ke Saman hai ab aise nahin rona . Samjhi aap 😊

Stuti (yah sunkar use bahut Khushi hoti hai aur vah Has kar kehti hai) - aapka dhanyvad Rajmata.

Jaha maasa or Stuti itni der se baat kar rahe the vahan Raja tha Apne kar mein jakar kab Se baith jaate Hain kyunki vah Stuti ke pass Keval use help karne ke liye Aaye The Kisi Aur intention se nahin na hi unhone use per jyada Dhyan Diya…

Maasa - chaliye Ham chalte Hain khyal rakhiega aapane..

Stuti – ghni khmma…

Karva vahan Se Chala jata Hai Stuti aur Vidit pahle hospital jakar dawai lagvate hain aur FIR Ghar chale jaate Hain.

Kya lagta hai kya Raja Sa aur Stuti ki ye mulaqat UN donon ke jivan mein kuchh khas Parivartan layegi? Kya hoga jab maasa sidhe taur per baat karengi

Raja se.. janne ke liye chapter 3 ka intezar kijiye..

Write a comment ...

Write a comment ...